vo be-niyāz mujhe uljhanoñ meñ Daal gayā
ki jis ke pyaar meñ ehsās-e-māh-o-sāl gayā
har ek baat ke yuuñ to diye javāb us ne
jo ḳhaas baat thī har baar hañs ke Taal gayā
ka.ī savāl the jo maiñ ne soch rakkhe the
vo aa gayā to mujhe bhuul har savāl gayā
jo umr jazboñ kā sailāb ban ke aa.ī thī
guzar ga.ī to lagā daur-e-e'tidāl gayā
vo ek zaat jo ḳhvāb-o-ḳhayāl laa.ī thī
isī ke saath har ik ḳhvāb har ḳhayāl gayā
use to is kā koī rañj bhī na ho shāyad
ki us kī bazm se koī shikasta-hāl gayā