Ahmad Rahi

main dil-zada hun agar dil-figar wo bhi hain

Ahmad Rahi

Amritsar, Punjab, India

1923-2002
maiñ dil-zada huuñ agar dil-figār vo bhī haiñ
ki dard-e-ishq ke ab da.avedār vo bhī haiñ
huā hai jin ke karam se dil o nazar kā ziyāñ
ba-faiz-e-vaqt mire ġham-gusār vo bhī haiñ
shahīd jazboñ kī fahrist kyā murattab ho
shumār meñ jo nahīñ be-shumār vo bhī haiñ
dil-e-tabāh! ye āsār haiñ qayāmat ke
rahīn-e-gardish-e-lail-o-nahār vo bhī haiñ
harīm-e-husn kī taz.īn the jo paikar-e-nāz
ba-hāl-e-zār sar-e-rahguzār vo bhī haiñ
vo jin se aam huī dāstān-e-ahd-e-junūñ
tire gunah dil-e-nā-kardā-kār vo bhī haiñ
Top Urdushayar.com