kabhī hayāt kā ġham hai kabhī tirā ġham hai
har ek rañg meñ nākāmiyoñ kā mātam hai
ḳhayāl thā tire pahlū meñ kuchh sukūñ hogā
magar yahāñ bhī vahī iztirāb paiham hai
mire habīb mirī muskurāhaToñ pe na jā
ḳhudā-gavāh mujhe aaj bhī tirā ġham hai
sahar se rishta-e-ummīd bāñdhne vaale
charāġh-e-zīst kī lau shaam hī se maddham hai
ye kis maqām pe le aa.ī zindagī 'rāhī'
qadam qadam pe jahāñ bebasī kā aalam hai