kabhī tirī kabhī apnī hayāt kā ġham hai
har ek rañg meñ nākāmiyoñ kā mātam hai
ḳhayāl thā tire pahlū meñ kuchh sukūñ hogā
magar yahāñ bhī vahī iztirāb paiham hai
mire mazāq-e-alam-āshnā kā kyā hogā
tirī nigāh meñ sho.ale haiñ ab na shabnam hai
sahar se rishta-e-ummīd bāñdhne vaale
charāġh-e-zīst kī lau shaam hī se maddham hai
ye kis maqām pe le aa.ī zindagī 'rāhī'
ki har qadam pe ajab bebasī kā aalam hai