din ko rahte jhiil par dariyā kināre raat ko
yaad rakhnā chāñd taaro is hamārī baat ko
ab kahāñ vo mahfileñ haiñ ab kahāñ vo ham-nashīñ
ab kahāñ se laa.eñ un guzre hue lamhāt ko
paḌ chukī haiñ utnī girheñ kuchh samajh aatā nahīñ
kaise suljhā.eñ bhalā uljhe hue hālāt ko
kitnī tūfānī thiiñ rāteñ jin meñ do dīvāne dil
thapkiyāñ dete rahe bhaḌke hue jazbāt ko
dard meñ Duubī huī lai ban ga.ī hai zindagī
bhuul jaate kaash ham ulfat-bhare naġhmāt ko
vo ki apne pyaar kī thī bhīgī bhīgī ibtidā
yaad kar ke ro diyā dil aaj us barsāt ko