tavīl rātoñ kī ḳhāmushī meñ mirī fuġhāñ thak ke so ga.ī hai
tumhārī āñkhoñ ne jo kahī thī vo dāstāñ thak ke so ga.ī hai
mire ḳhayāloñ meñ aaj bhī ḳhvāb ahd-e-rafta ke jāgte haiñ
tumhāre pahlū meñ kāhish-e-yād-e-pāstāñ thak ke so ga.ī hai
gilā nahīñ tujh se zindagī ke vo nazariye hī badal ga.e haiñ
mirī vafā vo tire taġhāful kī nauha-ḳhvāñ thak ke so ga.ī hai
sahar kī ummīd ab kise hai sahar kī ummīd ho bhī kaise
ki ziist ummīd-o-nā-umīdī ke darmiyāñ thak ke so ga.ī hai
na jaane maiñ kis udheḌ-bun meñ ulajh gayā huuñ ki mujh ko 'rāhī'
ḳhabar nahīñ kuchh vo ārzū-e-sukūñ kahāñ thak ke so ga.ī hai