Meer Mehdi Majrooh

mangen na hum bahisht na ho wan agar sharab

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
māñgeñ na ham bahisht na ho vaañ agar sharāb
dozaḳh meñ Daal dījiye diije magar sharāb
zāhid ke baḳht-e-bad kī hai ḳhūbī vagarna kyuuñ
chhoḌe koī sharāb kī ummīd par sharāb
tauba to ham ne kī hai par ab tak ye haal hai
paanī bhar aa.e muñh meñ dikhā deñ agar sharāb
goyā sharāb hī se bharā umr kā qadah
maut us kī ḳhuub hai jo piye umr bhar sharāb
samjhā nahīñ ki jiite haiñ murde isī tarah
chhiḌke vagarna kyuuñ vo mirī ḳhaak par sharāb
hai lutf-e-zīst ye ki vo baiThā ho rū-ba-rū
bikhre hoñ phuul idhar to dharī ho udhar sharāb
be-ḳhud kiyā jahāñ ko tirī chashm-e-mast ne
thī kaisī is pyāle meñ ai fitna-gar sharāb
chashm-e-siyāh mast nigah mast aap mast
piitā hai dil-lagī ko but-e-ishva-gar sharāb
tauba meñ ham na khā.eñge ilzām kyā huā
ik-ādh yaar pī ga.e gar bhuul kar sharāb
Top Urdushayar.com