Ahmad Rahi

gham-e-hayat mein koi kami nahin aai

Ahmad Rahi

Amritsar, Punjab, India

1923-2002
ġham-e-hayāt meñ koī kamī nahīñ aa.ī
nazar-fareb thī terī jamāl-ārā.ī
vo dāstāñ jo tirī dilkashī ne chheḌī thī
hazār baar mirī sādgī ne dohrā.ī
fasāne aam sahī merī chashm-e-hairāñ ke
tamāshā bante rahe haiñ yahāñ tamāshā.ī
tirī vafā tirī majbūriyāñ bajā lekin
ye sozish-e-ġham-e-hijrāñ ye sard tanhā.ī
kisī ke husn-e-tamannā kā paas hai varna
mujhe ḳhayāl-e-jahāñ hai na ḳhauf-e-rusvā.ī
maiñ sochtā huuñ zamāne kā haal kyā hogā
agar ye uljhī huī zulf tū ne suljhā.ī
kahīñ ye apnī mohabbat kī intihā to nahīñ
bahut dinoñ se tirī yaad bhī nahīñ aa.ī
Top Urdushayar.com