gardish-e-jām nahīñ gardish-e-ayyām to hai
sa.ī-e-nākām sahī phir bhī koī kaam to hai
dil kī betābī kā āḳhir kahīñ anjām to hai
merī qismat meñ nahīñ dahr meñ ārām to hai
mā.il-e-lutf-o-karam husn-e-dil-ārām to hai
merī ḳhātir na sahī koī sar-e-bām to hai
tū nahīñ merā masīhā mirā qātil hī sahī
mujh se vābasta kisī taur tirā naam to hai
halqa-e-mauj meñ ik aur safīna aayā
sāhil-e-bahr pe kohrām kā hañgām to hai
tañg-dasto tahī-dāmāno karo shukr-e-ḳhudā
mai-e-gulfām nahīñ hai shafaq-e-shām to hai