ye dāstān-e-ġham-e-dil kahāñ kahī jaa.e
yahāñ to khul ke koī baat bhī na kī jaa.e
tumhāre haath sahī faisla magar phir bhī
zarā asiir kī rūdād to sunī jaa.e
ye raat din kā taḌapnā bhī kyā qayāmat hai
jo tum nahīñ to tumhārā ḳhayāl bhī jaa.e
ab is se baḌh ke bhalā aur kyā sitam hogā
zabān khul na sake aañkh dekhtī jaa.e
ye chaak chaak garebāñ nahīñ hai dīvāne
jise bas ek chhalaktī nazar hī sī jaa.e
koī sabīl ki ye sehr-e-jāñ-gusil TuuTe
koī ilaaj ki ye daur-e-bebasī jaa.e