qad o gesū lab-o-ruḳhsār ke afsāne chale
aaj mahfil meñ tire naam pe paimāne chale
abhī tū ne dil-e-shorīda ko dekhā kyā hai
mauj meñ aa.e to tūfānoñ se Takrāne chale
dekheñ ab rahtā hai kis kis kā garebāñ sābit
chāk-e-dil le ke tirī bazm se dīvāne chale
phir kisī jashn-e-charāġhāñ kā gumāñ hai shāyad
aaj har samt se pur-soḳhta parvāne chale
ye masīhā.ī bhī ik turfa-tamāshā hai ki jab
dam ulaT jaa.e to vo zaḳhmoñ ko sahlāne chale
jis ne uljhāyā hai kitne hī diloñ ko yaaro
ham bhī us zulf-e-girah-gīr ko suljhāne chale