koī maazī ke jharokoñ se sadā detā hai
sard paḌte hue sho.aloñ ko havā detā hai
dil-e-afsurda kā har gosha chhanak uThtā hai
zehn jab yādoñ kī zanjīr hilā detā hai
hāl-e-dil kitnā hī insān chhupā.e yaaro
hāl-e-dil us kā to chehra hī batā detā hai
kisī bichhḌe hue kho.e hue hamdam kā ḳhayāl
kitne so.e hue jazboñ ko jagā detā hai
ek lamha bhī guzar saktā na ho jis ke baġhair
koī us shaḳhs ko kis tarah bhulā detā hai
vaqt ke saath guzar jaatā hai har ik sadma
vaqt har zaḳhm ko har ġham ko miTā detā hai