qayām-e-dair-o-tavāf-e-haram nahīñ karte
zamāna-sāz to karte haiñ ham nahīñ karte
tumhārī zulf ko suljhā.eñge vo dīvāne
jo apne chāk-e-garebāñ kā ġham nahīñ karte
utar chukā hai rag-o-pai meñ zahr-e-ġham phir bhī
ba-pās-ahd-e-vafā chashm nam nahīñ karte
ye apnā dil hai ki is haal meñ bhī zinda haiñ
sitam kuchh ahl-e-sitam ham pe kam nahīñ karte
girafta-dil haiñ butān-e-haram ki ab shā.ir
nashāt-o-aish ke sāmāñ baham nahīñ karte
sunā rahe haiñ jahāñ ko hadīs-e-dār-o-rasan
hikāyat-e-qad-o-gesū raqam nahīñ karte
vo āstān-e-shahī ho ki āstāna-e-dost
ye ab kahīñ sar-e-taslīm ḳham nahīñ karte