Ahmad Rahi

tanhaiyon ke dasht mein akasr mila mujhe

Ahmad Rahi

Amritsar, Punjab, India

1923-2002
tanhā.iyoñ ke dasht meñ akasr milā mujhe
vo shaḳhs jis ne kar diyā mujh se judā mujhe
vāraftagī mirī hai ki hai intihā-e-shauq
us kī galī ko le gayā har rāsta mujhe
jaise ho koī chehra nayā us ke rū-ba-rū
yuuñ dekhtā rahā mirā har āshnā mujhe
harf-e-ġhalat samajh ke jo mujh ko miTā gayā
us jaisā us ke ba.ad na koī lagā mujhe
pahle hī mujh pe kam nahīñ terī ināyateñ
dam lene de ai gardish-e-daurāñ zarā mujhe
mushkil mujhe Dūbnā kināre pe bhī na thā
nāhaq bhañvar meñ laayā mirā nāḳhudā mujhe
ye zindagī ki maut bhī hai jis pe nauha-ḳhvāñ
kis jurm kī na jaane milī hai sazā mujhe
Top Urdushayar.com