Meer Mehdi Majrooh

hum apna jo qissa sunane lage

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
ham apnā jo qissa sunāne lage
vo bole ki phir sar phirāne lage
kahā thā uThā parda-e-sharm ko
vo ulTā hamīñ ko uThāne lage
zarā dekhiye un kī sannā.iyāñ
mujhe dekh kar muñh banāne lage
kahā maiñ ne mil yā mujhe maar Daal
vo jhaT āstīneñ chaḌhāne lage
mujhe aate dekhā juuñ hī duur se
qadam-vār jaldī uThāne lage
uThe vo to ik hashr barpā kiyā
jo baiThe to fitna uThāne lage
ġhizā ġham meñ thī merī ḳhūn-e-jigar
ab a.adā kā bhī rashk khāne lage
kamāl-e-ta.ashshuq nahīñ hai hunūz
abhī se vo muñh ko chhupāne lage
ḳhafā ho ke jab be-bulā.e gayā
mujhe dekh kar muskurāne lage
ġhanīmat hai itnā to uTThā hijāb
ki ab ḳhvāb meñ bhī vo aane lage
vo dil ke uḌāne se vāqif na the
hamīñ to ye ghāteñ batāne lage
magar un pe rāz-e-mohabbat khulā
jo 'majrūh' se bach ke jaane lage
Top Urdushayar.com