mere dil meñ to har zamāñ ho tum
chashm-e-zāhir se kyuuñ nihāñ ho tum
be-vafā.eñ kā aib kaisā hai
ye to sach hai ki merī jaañ ho tum
jab chalo TīTar hī kī chalte ho
mere haq meñ to āsmāñ ho tum
dil-o-dīñ donoñ nazr kartā huuñ
aisī chīzoñ ke qadr-dāñ ho tum
dekh ġhamgīñ mujhe bigaḌte ho
par-le darje ke bad-gumāñ ho tum
arsh-paimā.ī-e-ḳhayāl abas
kaun pahuñchā vahāñ jahāñ ho tum
baat meñ dil ko khīñch lete ho
kis qayāmat ke ḳhush-bayāñ ho tum
hai savāl aur aur javāb hai aur
sach kaho is ghaḌī kahāñ ho tum
bachiye aġhyār kī nazar na lage
chashm-e-bad-dūr naujavāñ ho tum
dushmanī ham kareñ to kis kis se
ek aalam pe mehrbāñ ho tum
zulf ke baar se kamar lachke
kis qadar nāzuk ai miyāñ ho tum
dekhne kī majāl hai kis ko
misl-e-ḳhurshīd go ayaañ ho tum
hai vahī Thiik jo kaho 'majrūh'
kyuuñ na ho sāhab-e-zabāñ ho tum