ġhairoñ ko bhalā samjhe aur mujh ko burā jaanā
samjhe bhī to kyā samjhe jaanā bhī to kyā jaanā
ik umr ke dukh paa.e sote haiñ farāġhat se
ai ġhalġhala-e-mahshar ham ko na jagā jaanā
māñgūñ to sahī bosa par kyā hai ilaaj is kā
yaañ hoñT kā hil jaanā vaañ baat kā pā jaanā
go umr basar us kī tahqīq meñ kī to bhī
māhiyyat-e-aslī ko apnī na zarā jaanā
kyā yaar kī bad-ḳhūī kyā ġhair kī bad-ḳhvāhī
sarmāya-e-sad-āfat hai dil hī kā aa jaanā
kuchh arz-e-tamannā meñ shikva na sitam kā thā
maiñ ne to kahā kyā thā aur aap ne kyā jaanā
ik shab na use laa.e kuchh rañg na dikhlā.e
ik shor-e-qayāmat hī nāloñ ne uThā jaanā
chilman kā ulaT jaanā zāhir kā bahāna hai
un ko to bahar-sūrat ik jalva dikhā jaanā
hai haq ba-taraf us ke chāhe sau sitam kar le
us ne dil-e-āshiq ko majbūr-e-vafā jaanā
anjām huā apnā āġhāz-e-mohabbat meñ
is shaġhl ko jāñ-farsā aisā to na thā jaanā
'majrūh' hue maa.il kis āfat-e-daurāñ par
ai hazrat-e-man tum ne dil bhī na lagā jaanā