hastī hai judā.ī se us kī jab vasl huā to kuchh bhī nahīñ
dariyā meñ na thā to qatra thā dariyā meñ milā to kuchh bhī nahīñ
ik sham.a jalī to mahfil meñ har samt ujālā phail gayā
qānūn yahī hai fitrat kā parvāna jalā to kuchh bhī nahīñ
sailāb meñ tinke raqsāñ the maujoñ se safīne larzāñ the
ik dariyā thā sau tūfāñ the dariyā na rahā to kuchh bhī nahīñ
asliyat thī yā dhoka thā ik fitna-e-rañgīñ barpā thā
sau jalve the ik parda thā parda na rahā to kuchh bhī nahīñ
tūfāñ bhī thā āñdhī bhī thī bārāñ bhī thā bijlī bhī thī
aa.ī jo ghaTā to sab kuchh thā barsī jo ghaTā to kuchh bhī nahīñ
phūloñ se chaman ābād bhī the daam apnā liye sayyād bhī the
sab kuchh thā 'jamīl' is gulshan meñ badlī jo havā to kuchh bhī nahīñ