dariyā kā chaḌhāv dekhtā huuñ
tinkoñ kā bahāv dekhtā huuñ
tum dekho bulandī āsmāñ kī
maiñ us kā jhukāv dekhtā huuñ
kal pesh-e-nazar thī teġh-e-abrū
ab siine kā ghaav dekhtā huuñ
vo aa.eñ na aa.eñ kaun jaane
aa.ī huī naav dekhtā huuñ
santā huuñ karāh lakḌiyoñ kī
jalte haiñ alaav dekhtā huuñ
āsān nahīñ hai dil kī chorī
tum aañkh churāo dekhtā huuñ
mañjdhār meñ hogī koī kashtī
sāhil pe jamāv dekhtā huuñ
tum aag meñ merī jal rahī ho
maiñ duur se taao dekhtā huuñ
apne ko 'jamīl' bechnā hai
bāzār kā bhaav dekhtā huuñ