sub.h ḳhud batā.egī tīrgī kahāñ jaa.e
ye charāġh kī jhūTī raushnī kahāñ jaa.e
jo nasheb aa.egā rāsta dikhā.egā
moḌ ḳhud batā.egā aadmī kahāñ jaa.e
baḌh ke do qadam tū hī us kī piiTh halkī kar
ye thakā musāfir ai rahzanī kahāñ jaa.e
hā-o-hū kī duniyā meñ mā-o-tū kī duniyā meñ
rañg o bū kī duniyā meñ sādgī kahāñ jaa.e
be-ta.alluqī maslak ho chukā hai duniyā kā
dostī kahāñ jaa.e dushmanī kahāñ jaa.e
ab to dhuup aa pahuñchī jhāḌiyoñ ke andar bhī
ab panāh lene ko tīrgī kahāñ jaa.e
kārvāñ ne chūlhoñ meñ jhoñk dī ghanī shāḳheñ
ab kahīñ nahīñ saaya ḳhastagī kahāñ jaa.e
zaḳhm-e-dil to kyā doge dāġh-e-sajda hī de do
ab tumhārī chaukhaT se 'maz.harī' kahāñ jaa.e