Jameel Mazhari

ghaur to kije ki ye sajda-rawa kyun kar hua

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
ġhaur to kiije ki ye sajda-ravā kyuuñ kar huā
us ne jab kuchh ham se māñgā to ḳhudā kyūñkar huā
ai nigāh-e-shauq is chashm-e-fusūñ-pardāz meñ
vo jo ik pindār thā āḳhir hayā kyūñkar huā
ik tarāzū ishq ke hāthoñ meñ bhī jab hai to vo
ālam-e-sūd-o-ziyāñ se māvarā kyūñkar huā
diin o dānish donoñ hī har moḌ par the dil ke saath
yak-ba-yak dīvāna donoñ se ḳhafā kyūñkar huā
rahzanoñ ke ġhol idhar the rahbaroñ kī bhiiḌ udhar
aa ga.e manzil pe ham ye mojaza kyūñkar huā
ḳhārzār-e-dīn-o-dānish lāla-zār-e-husn-o-ishq
dil kī ik vahshat se tai ye marhala kyūñkar huā
apne zehnī zalzaloñ kā naam jo rakh lo magar
do diloñ kā ik tasādum sāneha kyūñkar huā
terī mahrūmī use jo bhī kahe lekin 'jamīl'
ġhair se us ne vafā kī bevafā kyūñkar huā
Top Urdushayar.com