parda haa.il jo thā kahāñ hai ab
terā jalva hī darmiyāñ hai ab
sham.a kahtī rahī jise shab bhar
ḳhātme par vo dāstāñ hai ab
merī nazroñ kī ik thakan ke sivā
aur kyā chiiz āsmāñ hai ab
sabr kā mere imtihāñ to huā
terī rahmat kā imtihāñ hai ab
tū bhī merī tarah na ho nākām
fikr ye rab-e-do-jahāñ hai ab
kāmyābī ke gur batāne lagī
ishq par aql mehrbāñ hai ab
'maz.harī' pesh-e-kārvāñ thā kabhī
'maz.harī' gard-e-kārvāñ hai ab