Jameel Mazhari

tera husn bhi bahana mera ishq bhi bahana

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
tirā husn bhī bahāna mirā ishq bhī bahāna
ye latīf isti.āre na samajh sakā zamāna
maiñ nisār-e-dast-e-nāzuk jo uThā.e nāzishāna
ki sañvar ga.iiñ ye zulfeñ to sañvar gayā zamāna
tirī zindagī tabassum mirī zindagī talātum
mirī zindagī haqīqat tirī zindagī fasāna
tirī zulf-e-ḳham-ba-ḳham ne na.e silsile nikāle
mirī sīna-chākiyoñ se jo banā mizāj-e-shāna
tirā nāz-e-kibriyā.ī bhī maqām-e-ġhaur meñ hai
ki ghaTā diyā hai sajdoñ ne vaqār-e-āstāna
maiñ darūn-e-ḳhāna aa kar bhī liye huuñ dāġh-e-sajda
hai abhī mirī jabīñ par asar-e-barūn-e-ḳhāna
kabhī raah maiñ ne badlī to zamīñ kā raqs badlā
kabhī saañs lī Thahar kar to Thahar gayā zamāna
Top Urdushayar.com