vo kahāñ jalva-e-jāñ-baḳhsh butān-e-dehlī
kyuuñ ki jannat pe kiyā jaane gumān-e-dehlī
in kā be-vaj.h nahīñ TuuT ke honā barbād
DhūñDe hai apne makīnoñ ko makān-e-dehlī
jis ke jhoñke se sabā tabla-e-attār bane
hai vo bād-e-sahar-e-itr-fishān-e-dehlī
mehr zar ḳhaak ko kartā hai ye sach hai lekin
is se kuchh baḌh ke haiñ sāhab-nazrān-e-dehlī
ā.ina-sāz sikandar hai tū jam jām-farosh
vus.at-ābād hai kis darja jahān-e-dehlī
kar ke barbād use kis ko basā.egā falak
kyā koī aur bhī hai shahar basān-e-dehlī
is liye ḳhuld meñ jaane kā har ik tālib hai
ki kuchh ik duur se paḌtā hai gumān-e-dehlī
vo sitam dekh chuke the ki rahe āsūda
fitna-o-hashr meñ āfat-zadgān-e-dehlī
samjhe haiñ sū-e-adab jannat-e-sānī kahnā
vo kuchh ashḳhās jo haiñ martaba-dān-e-dehlī
sailī-e-panja-e-jallād-e-sitam se hai hai
nazr-e-be-dād hue muntaḳhabān-e-dehlī
yā-ḳhudā hazrat-e-ġhālib ko salāmat rakhnā
ab isī naam se baaqī hai nishān-e-dehlī
karbat-e-ġhurbat-o-tanhā.ī-o-shab-hā-e-darāz
aur 'majrūh'-e-dil-afgār bayān-e-dehlī