kaho na ye ki mohabbat hai tīrgī se mujhe
Darā diyā hai patañgoñ ne raushnī se mujhe
safīna shauq kā ab ke jo Duub kar ubhrā
nikāl le gayā dariyā-e-be-ḳhudī se mujhe
hai merī aañkh meñ ab tak vahī safar kā ġhubār
milā jo raah meñ sahrā-e-āgahī se mujhe
ḳhirad inhī se banātī hai rahbarī kā mizāj
ye tajrabe jo mayassar haiñ gumrahī se mujhe
abhī to paañv se kāñTe nikāltā huuñ maiñ
abhī nikāl na gulzār-e-zindagī se mujhe
zabān-e-hāl se kahtā hai nāz-e-ishva-garī
hayā chhupā na sakī chashm-e-maz.harī se mujhe
barā.e dād-e-suḳhan kāsa-e-savāl ho dil
ḳhudā bachā.e 'jamīl' is gadāgarī se mujhe