Jameel Mazhari

jab panw mila tha to raste bhi nazar aate

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
jab paañv milā thā to raste bhī nazar aate
tum tak na sahī lekin tā-hadd-e-nazar jaate
tum aañkh nahīñ rakhte aur dekhte ho sab kuchh
ham aañkh bhī rakhte haiñ aur dekh nahīñ paate
har raah to manzil tak le jaatī nahīñ sab ko
kuchh der idhar chalte kuchh der udhar jaate
parda vo uThāyā to parda hī nazar aayā
jab kuchh na nazar aayā to kyuuñ na Thahar jaate
ye ishq nahīñ ye hai kam-bīnī o kam-aqalī
ik lutf-e-tabassum par itnā nahīñ itrāte
jo ho na 'jamīl' apnā auroñ kā vo kyā hogā
kyā khāoge ġham merā tum apnā hī ġham khāte
Top Urdushayar.com