muddat se hai libās-e-badan taar taar dost
mailā bhī hai utaar ab is ko utaar dost
baḳhiye kī ab jagah hai na paivand kī jagah
kyā sī rahe haiñ is ko tire ġham-gusār dost
thā jis meñ zindagī kā gumāñ vo to jā chukī
ye zindagī hai us ke qadam kā ġhubār dost
jo zindagī thī laġhzish-e-paiham kā silsila
hai jumbish-e-ḳhafīf use nāgavār dost
aage jo jā chukā hai vo har lamha-e-hayāt
tujh ko pukārtā hai sun us kī pukār dost
hālāt ne jo laad diyā terī piiTh par
gardan jhaTak ke pheñk de jaldī vo baar dost
thī zindagī ḳhudā kā ġhazab aur 'maz.harī'
maut ik ḳhudā kā pyaar hai le us kā pyaar dost