hamārā to koī sahārā nahīñ hai
ḳhudā hai to lekin hamārā nahīñ hai
mohabbat kī talḳhī gavārā hai lekin
haqīqat kī talḳhī gavārā nahīñ hai
mirī zindagī vo ḳhalā hai ki jis meñ
kahīñ duur tak koī taarā nahīñ hai
ḳhudā kyā ḳhudī ko bhī āvāz dī hai
musībat meñ kis ko pukārā nahīñ hai
sarāb ik haqīqat hai aab ik tasavvur
yahī zindagī hai to chārā nahīñ hai
ham apnī hī āñkhoñ kā parda ulaT deñ
haqīqat ko ye bhī gavārā nahīñ hai
vo kyā un ke gesū sañvāregā jis ne
garebāñ bhī apnā sañvārā nahīñ hai
ḳhudā us se nipTe to nipTe ki ye dil
hamārā nahīñ hai tumhārā nahīñ hai
nazar un kī gosha-nashīñ hai hayā se
ishārā nahīñ ye ishārā nahīñ hai
hamārā hai kyā jab hamārā irāda
hamārā hai lekin hamārā nahīñ hai
garebāñ bahut se hue paara paara
naqāb ek bhī paara paarā nahīñ hai
kisī ke liye dil ko sulgā ke dekho
jahannam koī isti.ārā nahīñ hai
ba-juz 'maz.harī' ke sabhī bazm meñ haiñ
vahī tere va.adoñ kā maarā nahīñ hai