Jameel Mazhari

aagahi aur aagahi dijiye aagahi kuchh aur

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
āgahī aur āgahī dījiye āgahī kuchh aur
tīrgī ghor ghor hai pheñkiye raushnī kuchh aur
is kā ḳhudā sanam sanam us kā ḳhudā haram haram
ishq kī gumrahī kuchh aur aql kī gumrahī kuchh aur
us kī tahī hai jeb aur is kā dimāġh hai tahī
us kī hai muflisī kuchh aur is kī hai muflisī kuchh aur
naaz tirā chaman chaman raaz tirā dahan dahan
kahtī hai tīrgī kuchh aur kahtī hai raushnī kuchh aur
kahtī hai dopahar kī dhuup merā mizāj garm hai
lekin ujālī raat meñ kahtī hai chāñdnī kuchh aur
bad hai koī na nek hai donoñ kā maqsad ek hai
garche hai rahzanī kuchh aur garche hai rahbarī kuchh aur
garche ḳhudā ko aap ne māh-e-laqā banā diyā
us ke firāq meñ 'jamīl' kījiye shā.erī kuchh aur
Top Urdushayar.com