Jameel Mazhari

aur kuchh lafz gaDhun sanat-e-iham ghalat

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
aur kuchh lafz gaḌhūñ san.at-e-īhām ġhalat
hai ye ḳhud apnī ḳhudī is kā ḳhudā naam ġhalat
jumbisheñ us kī ġhalat haiñ ki ḳhud abrū meñ hai ḳham
us kī ta.amīl meñ ye gardish-e-ayyām ġhalat
ye safar kyā ki jahāñ chhāñv milī baiTh ga.e
dhuup kitnī hī kaḌī ho magar ārām ġhalat
havas-e-dāna agar hai to sū-e-dām chalo
havas-e-dāna o andeshgi-e-dām ġhalat
is se behtar thī kahīñ gosha-e-ārām meñ niiñd
ye safar kyā ki har ik raah har ik gaam ġhalat
nahīñ afsūñ hī ko afsāne kī manzil ma.alūm
ġhalat āġhāz kā hotā hī hai anjām ġhalat
'maz.harī' chal na sake vaqt-e-subuk-e-gām ke saath
ham-safar pairavī-e-vaqt-e-subuk-gām ġhalat
Top Urdushayar.com