maiñ sadqe tujh pe adā tere muskurāne kī
sameTe letī hai rañgīniyāñ zamāne kī
jo zabt-e-shauq ne bāñdhā tilisam-e-ḳhuddārī
shikāyat aap kī rūThī huī adā ne kī
kuchh aur jur.at-e-dast-e-havas baḌhātī hai
vo barhamī jo ho tamhīd muskurāne kī
kuchh aisā rañg mirī zindagī ne pakḌā thā
ki ibtidā hī se tarkīb thī fasāne kī
jalāne vaale jalāte hī haiñ charāġh āḳhir
ye kyā kahā ki havā tez hai zamāne kī
havā.eñ tund haiñ aur kis qadar haiñ tund 'jamīl'
ajab nahīñ ki badal jaa.e rut zamāne kī