Meer Mehdi Majrooh

uske nibhne ke kuchh nahin asbab

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
us ke nibhne ke kuchh nahīñ asbāb
vo taġhāful-shi.ār maiñ be-tāb
vājib-ul-qatl hai dil-e-betāb
kushta honā hī ḳhuub hai sīmāb
abr kī tīrgī meñ ham ko to
sūjhtā kuchh nahīñ sivā.e sharāb
apnī kashtī kā hai ḳhudā-hāfiz
pīchhe tūfāñ hai sāmne girdāb
bosa māñgā to ye javāb milā
sīkhiye pahle ishq ke ādāb
us ko phirtā hai DhūñDhtā har-sū
kyuuñ kar āñkhoñ se uḌ na jaa.e ḳhvāb
dard-e-ulfat jo hote hī marte
ye aziyyat na khīñchte ahbāb
nahīñ mumkin ki jam.a hoñ donoñ
sāqī-e-mehr-vash shab-e-mahtāb
sāmne us ke jo Thahar jaa.eñ
nahīñ be-tābiyoñ ko itnī taab
ahl-e-ālam se chāhtā huuñ vafā
us kā tālib huuñ jo ki hai nāyāb
ishq ke saath hī ga.e dil-o-dīñ
aa ga.ī sail bah gayā asbāb
saaf fiqre huuñ aur hamīñ par hoñ
sheva achchhā to hai mirā ādāb
hotī gar is jahāñ meñ kuchh ḳhūbī
kahte kyuuñ phir sifat meñ is kī ḳharāb
āzmānā na dil ko saḳhtī se
TuuT jaa.e na ye dur-e-nāyāb
kis tarah bahr-e-ishq se niklūñ
ye to dariyā kahīñ nahīñ pāyāb
sho.ala-e-husn terā kyā kahnā
phūñk de us ke parda-hā-e-hijāb
us kī shoḳhī kā hai ta.ajjub kyā
husn ye kuchh aur us pe ain shabāb
'ġhālib' aa.e haiñ laao ai 'majrūh'
bāda-e-nāb meñ milā ke gulāb
Top Urdushayar.com