merā jazba ki jo ḳhud-fahm hai ḳhud-kām nahīñ
puḳhta maġhzān-e-junūñ kī havas-e-ḳhām nahīñ
saaf kahtā huuñ kināya nahīñ ilhām nahīñ
kyā ho ārām se duniyā tujhe ārām nahīñ
thak ga.e kyā mah-o-anjum ke shikārī tere haath
aaj kyuuñ ek sitāra bhī tah-e-dām nahīñ
tīrgī vaqt kī simTī huī ik ḳhaal meñ hai
zehn ik haal meñ hai sub.h nahīñ shaam nahīñ
din javānī kā Dhalā ya.anī huī shaam magar
tum vo sūraj ho ki jis par asar-e-shām nahīñ
kyā kare qais ki hai dhuup hī sahrā kī pasand
sāya-e-gesū-e-lailā meñ bhī ārām nahīñ
'maz.harī' mo.atakif-e-hujra-e-inkār to hai
'maz.harī' be-ḳhabar-e-kulfat-e-ayyām nahīñ