Jameel Mazhari

jis samt nazar jae mela nazar aata hai

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
jis samt nazar jaa.e melā nazar aatā hai
har aadmī is par bhī tanhā nazar aatā hai
saudā-e-dil-o-dīñ yā saudā-e-dil-o-duniyā
āshiq ko to donoñ meñ ghāTā nazar aatā hai
andhoñ ko tire ai husn ab mil ga.ī bīnā.ī
ab ishq kā har jazba nañgā nazar aatā hai
pastī se agar dekho nīchā bhī hai kuchh ūñchā
ūñchā bhī bulandī se nīchā nazar aatā hai
kyā shikva ta.aqqul ke ḳhāmosh tahayyur se
jab apnā tasavvur bhī gūñgā nazar aatā hai
ai nāz-e-ḳhud-ārā.ī de zarf ko pahnā.ī
ghuTtā huā qatre meñ dariyā nazar aatā hai
rahmat bhī tirī shāyad kuchh kaan kī ūñchī hai
insāf bhī terā kuchh andhā nazar aatā hai
nālāñ haiñ 'jamīl' apnī āñkhoñ se ki ab un ko
sūraj kā pujārī bhī andhā nazar aatā hai
Top Urdushayar.com