Jameel Mazhari

baKHshish hai teri hath mein duniya liye hue

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
baḳhshish hai terī haath meñ duniyā liye hue
maiñ chup khaḌā huuñ dīda-e-bīnā liye hue
sahrā ko kyā ḳhabar ki hai har zarra-e-haqīr
muTThī meñ apnī qismat-e-sahrā liye hue
us shaam se Daro jo sitāroñ kī chhāñv meñ
aatī ho ik hasīn añdherā liye hue
ai vaqt ik nigāh ki kab se khaḌe haiñ ham
ā.īna-e-tasavvur-e-fardā liye hue
guzrā thā is dayār se sūraj kā ik safīr
har naqsh-e-pā meñ ik yad-e-baizā liye hue
aayā ye kaun sāya-e-zulf-e-darāz meñ
peshāni-e-sahar kā ujālā liye hue
laa.ī thī be-ḳhudī jise is dar pe vo 'jamīl'
jaatā hai ab ḳhudī kā janāzā liye hue
Top Urdushayar.com