koī savāl-e-ḳhudā-o-sanam nahīñ ai dost
maiñ kyā karūñ mirī gardan meñ ḳham nahīñ ai dost
hameñ yahī hai munāsib ki ek sū ho leñ
jagah miyān-e-vajūd-o-adam nahīñ ai dost
ḳhushāmadoñ se nikaltā nahīñ hai kaam yahāñ
mo.āmla hai ḳhudā se sanam nahīñ ai dost
agarche sard añdhere haiñ bā.is-e-taklīf
magar ye garm ujāle bhī kam nahīñ ai dost
ajab mizāj hai in mai-kada nashīnoñ kā
ki qadr-e-jām to hai qadr-e-jam nahīñ ai dost
khulā hai aur khulegā 'jamīl' sab ke liye
ye mai-kada hai kunisht-o-haram nahīñ ai dost