bahut mushkil hai pās-e-lazzat-e-dard-e-jigar karnā
kisī se ishq karnā aur vo bhī umar bhar karnā
sar-e-mahfil tirā vo pursish-e-zaḳhm-e-jigar karnā
mirī jānib ba-mushkil ik nazar karnā magar karnā
musallam ho ga.ī hai be-iḳhtiyārī jazb-e-bātin kī
mohabbat us se karnā jis se nafrat is qadar karnā
yahāñ bāl-o-parī bhī ek sūrat hai asīrī kī
asīr-e-bāl-o-par ho kar ġhurūr-e-bāl-o-par karnā
tujhe haq hai ki tū parda uThā.e rū-e-raushan se
ki tere husn ko aatā hai tahzīb-e-nazar karnā
baḌhā kar haath taare āsmāñ se kaun toḌegā
'jamīl' ik kār-e-nā-mumkin hai taqlīd-e-qamar karnā