Jameel Mazhari

ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
ba-qadr-e-paimāna-e-taḳhayyul surūr har dil meñ hai ḳhudī kā
agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jaa.e aadmī kā
bas ek ehsās-e-nā-rasā.ī na josh is meñ na hosh us ko
junūñ pe hālat rubūdgī kī ḳhirad pe aalam ġhunūdgī kā
hai ruuh tārīkiyoñ meñ hairāñ bujhā huā hai charāġh-e-manzil
kahīñ sar-e-rāh ye musāfir paTak na de bojh zindagī kā
ḳhudā kī rahmat pe bhuul baiThūñ yahī na ma.anī hai is ke vaa.iz
vo abr kā muntazir khaḌā ho makān jaltā ho jab kisī kā
vo laakh jhukvā le sar ko mere magar ye dil ab nahīñ jhukegā
ki kibriyā.ī se bhī ziyāda mizāj nāzuk hai bandagī kā
'jamīl' hairat meñ hai zamāna mire taġhazzul kī muflisī par
na jazba-e-ijtiba-e-rizvī na kaif 'parvez-shāhidī' kā
Top Urdushayar.com