kuchh bhī nahīñ hai ālam-e-zarrāt se aage
ik ālam-e-hū ālam-e-asvāt se aage
milte haiñ smāvāt smavāt se aage
har gaam hijābāt hijābāt se aage
is dahr meñ ham ḳhud bhī haiñ minjumala ḳhurāfāt
kis tarah nazar jaa.e ḳhurāfāt se aage
ai raat ke maaro tumheñ kis tarah bujhā.ūñ
ik sub.h bhī ik din bhī hai is raat se aage
insāñ haiñ magar biich kī manzil meñ khaḌe haiñ
haivān se pīchhe haiñ jamādāt se aage
jo kuchh hai yahāñ vo hai ḳharābāt ke andar
kuchh bhī nahīñ ai riñd ḳharābāt se aage
kyā sochte ho zehn meñ vo aa nahīñ saktā
kyā sochte ho hai vo ḳhayālāt se aage
hone ko vo jaisā bhī ho ham haiñ to vo hogā
ḳhāmoshī hī ḳhāmoshī hai is baat se aage
samjheñge vahī zehn 'jamīl' apne suḳhan ko
jaatī hai nazar jin kī tabī.āt se aage