Jameel Mazhari

KHilaf-e-rasm-e-taghazzul ghazal-sara hun main

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
ḳhilāf-e-rasm-e-taġhazzul ġhazal-sarā huuñ maiñ
rubāb-e-vaqt kī bigḌī huī sadā huuñ maiñ
fazā.eñ deñ na jagah merī be-qarārī ko
havā.eñ mujh ko sulā deñ ki jāgtā huuñ maiñ
jaras huuñ maiñ mirā naala mirī tabī.at hai
ye kyuuñ kahūñ ki kisī ko pukārtā huuñ maiñ
girā to huuñ magar ai chashm-e-e'tibār ye dekh
ki kis bulandi-e-me.ār se girā huuñ maiñ
mirī fuġhāñ se shikāyat hai sone vāloñ ko
mirā gunāh yahī hai ki jāgtā huuñ maiñ
'jamīl' ḳhunki-e-marham kā maiñ nahīñ qaa.el
jarāhatoñ ko namak-dāñ dikhā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com