Jameel Mazhari

yahan jo bhi tha tanha tha yahan jo bhi hai tanha hai

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
yahāñ jo bhī thā tanhā thā yahāñ jo bhī hai tanhā hai
ye duniyā hai ye duniyā hai isī kā naam duniyā hai
na bolā un se jaatā hai na dekhā un se jaatā hai
yahāñ gūñgoñ kī bastī hai yahāñ andhoñ kā pahrā hai
vo manzil thī tahayyur kī ye manzil hai tafakkur kī
vahāñ parda bhī jalva thā yahāñ jalva bhī pardā hai
vo aalam thā ta.ayyun kā vahāñ parda hī parda thā
ye aalam hai tayaqqun kā yahāñ jalva hī jalva hai
sabhī majrūh haiñ is said-gāh-e-aish-o-hirmāñ meñ
kisī kā zaḳhm ochhā hai kisī kā zaḳhm gahrā hai
jo vo ik ḳhush-ḳhayālī thī to ye ik kam-nigāhī hai
na vo phūloñ kā gulshan thā na ye kāñToñ kā sahrā hai
vo ahl-e-qāl kī majlis ye ahl-e-hāl kī majlis
vahāñ jo kuchh thā maazī thā yahāñ jo kuchh hai fardā hai
ye naddī to nahīñ jo āb-e-shīrīñ de sake tum ko
hai paanī utnā hī namkīñ samundar jitnā gahrā hai
yahāñ tarshe hue lafzoñ kā sikka chal nahīñ saktā
ye bāzār-e-ma.ānī hai yahāñ motī bhī qatra hai
'jamīl' āñkhoñ ke paT kholo ise bhī ik nazar tolo
vo nairañg-e-tasavvur thā ye nairañg-e-tamāshā hai
Top Urdushayar.com