bas-ki ik jins-e-rā.egāñ huuñ maiñ
jitnā arzāñ bikūñ girāñ huuñ maiñ
na yahāñ aur na ab vahāñ huuñ maiñ
kyā batā.ūñ tumheñ jahāñ huuñ maiñ
yaad meñ hai kisī kī istiġhrāq
kaun pahuñche vahāñ jahāñ huuñ maiñ
madad ai naġhma-sanjī-e-bulbul
kab se gum-karda āshiyāñ huuñ maiñ
Dhab hai ye yaar tak pahuñchne kā
kaash qāsid hī kā bayāñ huuñ maiñ
nai kī mānind ḳhushk haiñ a.azā
kyuuñ na sar-tā-ba-pā fuġhāñ huuñ maiñ
lutf paayā hai ḳhāksārī meñ
huuñ zamīñ go ki āsmāñ huuñ maiñ
kis ne jalva dikhā diyā hai aaj
zamzama-sanj-e-al-amāñ huuñ maiñ
tā-kujā tez-gāmiyāñ bas kar
tausan-e-shauq ham-ināñ huuñ maiñ
gard detī hai kārvāñ kā patā
yādgār-e-guzishtagāñ huuñ maiñ
jaan kyūñkar nisār-e-maqdam ho
ab vo aa.e ki nīm-jāñ huuñ maiñ
kyā nahīñ yaad barq kā girnā
phir banātā jo āshiyāñ huuñ maiñ
ye safar dekhiye kahāñ ho tamām
misl-e-reg-e-ravāñ ravāñ huuñ maiñ
koī is ahd meñ nahīñ hai shafīq
aap apne pe mehrbāñ huuñ maiñ
dekh pachhtā.egā na le ke mujhe
māya-e-nāzish-e-dukāñ huuñ maiñ
ishq meñ sau balā.eñ liiñ sar par
apne haq meñ ḳhud āsmāñ huuñ maiñ
qadr kyuuñ ḳhvān-e-dahr par ho mirī
sach hai nā-ḳhvāñda mehmāñ huuñ maiñ
avval-e-shab hī hijr meñ un ke
DhūñDhtā ḳhanjar-o-sināñ huuñ maiñ
na Talā us ke dar se ai 'majrūh'
dūsrā sañg-e-āstāñ huuñ maiñ