ta.alluqāt to mafrūze zindagī ke haiñ
yahāñ na koī hai apnā na ham kisī ke haiñ
na ishq hī ke asar haiñ na dushmanī ke haiñ
ki saare zaḳhm mire dil pe dostī ke haiñ
charāġh agarche numā.inde raushnī ke haiñ
magar ye hai ki ye āsār tīrgī ke haiñ
tumhārī tez-ravī degī kyā sivā-e-ġhubār
ki naqsh-e-pā bhī natīje subuk-ravī ke haiñ
shokūk kyā haiñ mire dost āgahī kā bulūġh
yaqīn kyā hai gharauñde kuchh āgahī ke haiñ
'jamīl' apnā suḳhan in pe rā.egāñ na karo
ye maulvī kī suneñge ye maulvī ke haiñ