Jameel Mazhari

har taraf parda-dar-e-zulmat hai

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
har taraf parda-dār-e-zulmat hai
ik tabassum kī phir zarūrat hai
Thahrī Thahrī hai vaqt kī raftār
ālam-e-ġhaur meñ mashiyyat hai
hai gumāñ kyā yaqīn kā saaya
aur yaqīñ vāhime kī shiddat hai
ishq bhī zindagī kī la.anat thā
aql bhī zindagī kī la.anat hai
ḳhud-numā.ī meñ jo hijāb rahe
tīrgī us kī ik alāmat hai
shor-e-tahsīn-e-nāravā se 'jamīl'
ye ḳhamoshī basā-ġhanīmat hai
Top Urdushayar.com