badal jaate haiñ dil hālāt jab karvaT badalte haiñ
mohabbat ke tasavvur bhī na.e sāñchoñ meñ Dhalte haiñ
tabassum jab kisī kā ruuh meñ tahlīl hotā hai
to dil kī bāñsurī se nit na.e naġhme nikalte haiñ
mohabbat jin ke dil kī dhaḌkanoñ ko tez rakhtī hai
vo aksar vaqt kī raftār se aage bhī chalte haiñ
ujāle ke pujārī muzmahil kyuuñ haiñ andhere se
ki ye taare nigalte haiñ to sūraj bhī ugalte haiñ
inhī hairat-zada āñkhoñ se dekhe haiñ vo aañsū bhī
jo aksar dhuup meñ mehnat kī peshānī se Dhalte haiñ
mohabbat to talab kī raah meñ ik aisī Thokar hai
ki jis se zindagī kī ret meñ zamzam ubalte haiñ
ġhubār-e-kārvāñ haiñ vo na pūchho iztirāb un kā
kabhī aage bhī chalte haiñ kabhī pīchhe bhī chalte haiñ
diloñ ke nāḳhudā uTh kar sambhāleñ kashtiyāñ apnī
bahut se aise tūfāñ 'maz.harī' ke dil meñ palte haiñ