uljhī thī zulf us ne sañvārā sañvar ga.ī
shāne ko kyā ḳhabar ye balā kis ke sar ga.ī
ā.īne bhī banā.e to dekhā na apnā muñh
ab tak na ḳhadd-o-ḳhāl pe apne nazar ga.ī
yuuñ to ravāq-e-daulat-o-dīñ bhī the sāya-dār
lekin thakan ġharīb kī sū-e-shajar ga.ī
ahl-e-nazar na mujh pe hañseñ merī ye nazar
kuchh to barūn-e-halqa-e-hadd-e-nazar ga.ī
raste meñ kyā dharā thā ki ruktī kahīñ nigāh
dekhā tumheñ to umr-e-gurezāñ Thahar ga.ī
ūñchī huī fuġhāñ to ga.ī āsmāñ ke paar
utrā jo arsh se to diloñ meñ utar ga.ī
manzil to apnī hadd-e-nazar hī pe thī 'jamīl'
pahuñche vahāñ to aur kuchh aage nazar ga.ī