kisī kā ḳhuun sahī ik nikhār de to diyā
ḳhizāñ ko tum ne libās-e-bahār de to diyā
mire shu.ūr ko kaliyāñ ab aur kyā detīñ
tasavvur-e-lab-e-rañgīn-e-yār de to diyā
ab aur ḳhizr se kyā chāhtī hai pyaas mirī
sarāb-e-rahmat-e-parvar-digār de to diyā
agarche jabr hai ye bhī magar ġhanīmat jaan
ki ek jazba-e-be-iḳhtiyār de to diyā
ye aur baat ki dāman ko phuul de na sakī
magar bahār ne talvoñ ko ḳhaar de to diyā
bahār aa.e na aa.e magar lahū ne mire
chaman kī ḳhaak ko ik e'tibār de to diyā
ummīdeñ chhīn liiñ us ne to phir gila kyā hai
qarār maañg rahe the qarār de to diyā
kare ḳhudā se gila kyuuñ kisī kī majbūrī
kisī ke dil pe sahī iḳhtiyār de to diyā
'jamīl' us ātish-e-ruḳh ko havā na do itnī
ab aur chāhiye kyā ik sharār de to diyā