jo tum ho do qadam aage to ham haiñ do qadam pīchhe
ye farq-e-do-qadam kyā hai na tum aage na ham pīchhe
sanam us ke jamālī haiñ sanam us ke ḳhayālī haiñ
ḳhudā-sāzī thā shuġhl-e-dair rahtā kyuuñ haram pīchhe
ye kyā insāf hai aadil baḌhāyā tishnagī pahle
diyā terī adālat ne shu.ūr-e-shahad-o-sam pīchhe
ye hai tārīḳh kā darbār kuchh darvesh baiThe haiñ
khaḌe haiñ qaisar o faġhfūr o dārā-e-ajam pīchhe
bulandī shiddat-e-parvāz se bantī ga.ī yaanī
nazar aage thī aur har fāsla thā besh o kam pīchhe
yahāñ bhī kar ke ik sajda vahāñ bhī kar ke ik sajda
musāfir baḌh gayā chīḳhā kiye dair o haram pīchhe
gale us se bhī kaTte haiñ gale is se bhī kaTte haiñ
rahe kyuuñ 'maz.harī' talvār se apnā qalam pīchhe