ye kaisī aag mujh meñ jal rahī hai
ye kaisī barf mujh meñ gal rahī hai
koī tasbīh mujh meñ paḌh rahā hai
koī qindīl mujh meñ jal rahī hai
musāfir jā chukā lambe safar par
abhī tak dhuup āñkheñ mal rahī hai
sabhī bāhoñ ko phailā.e khaḌe haiñ
qayāmat hai ki har-pal Tal rahī hai
izāfī ho chukā hai matn saarā
kahānī hāshiye se chal rahī hai
mujhe sab dafn kar ke jā chuke haiñ
magar ye saañs ab tak chal rahī hai
bahut ro.egī ye laḌkī kisī din
jo mere saath hans kar chal rahī hai