koī bagūla raqsāñ mere andar hai
dil-sahrā meñ jashn ke jaisā manzar hai
maiñ ne kaise kaise motī DhūñDe haiñ
lekin tere aage sab kuchh patthar hai
balcony par aao merī palkoñ kī
dekho kitnā gahrā niilā samundar hai
ḳhāmoshī se maar na de ik din mujh ko
shor sā ik jo merī zaat ke andar hai
chāhe jo bhī khiḌkī meñ kholūñ 'at.har'
sab ke bāhar ek hī jaisā manzar hai